September 12, 2024
शेरी शायरी shero shayari in hindi

Best Sher o Shayari | Shero Shayari in Hindi | शेर शायरी

Latest and Best Collection of Shero Shayari in Hindi:- आज हम यहाँ शेर शायरी (Sher o Shayari) का बेस्ट कलेक्शन आपके साथ शेयर करेंगे। अगर आप Shero Shayari के दीवाने है तो यकीनन ये पोस्ट आपको बहुत पसंद आएगी। आप हमारी पहले से लिखी हुई हिंदी शायरिया (Hindi Shayari) भी पढ़ सकते है।

Best Shero Shayari in Hindi (शेर शायरी)

शेरी शायरी shero shayari in hindi

Jo teer bhi aata wo khali nahi jaata,
Mayus mere dil se sambhala nahi jaata,
Kaante hi kiya karte hai fulo ki hifajat…
Fulo ko bachane koi mali nahi jaata.

Zuthi mahobbat… Wafa ke waade,
Saath nibhane ki kasme…
Kitna kuch karte hai log,
Sirf wakt gujaarne ke liye.

Jindgi yun hi bahut kam hai mahobbat ke liye,
Fir ek dusre se ruthkar wakt gawane ki kya zarurat.

Hame kaha malum tha ki ishq kya hota hai,
Bas ek tum mile or jindgi mahobbat ban gai.

Badal jao wakt ke saath
Ya fir wakt badalna seekho,
Majburiyon ko mat koso…
Har haal me chalna seekho.

Shero Shayari in Hindi

Sabko gila hai ki bahut kam mila hai,
Jara sochiye…
Jitna aapko mila hai, Utna kitno ko mila hai.

Talash meri thi or bhatak raha tha wo,
Dil mera tha or dhadak raha tha wo,
Pyar ka talluk bhi ajeeb hota hai…
Aansu mere the or sisak raha tha wo.

Bachpan me to shaam bhi hua karti thi,
Ab to bas subha or fir seedhi… Raat.

Chalo aaj fir thoda muskuraya jaye,
Bina machis ke kuch logo ko jalaya jaye.

Sameet kar le jao
Apne zuthe waado ke adhure kisse…
Agli mahobbat me tumhe fir inki zarurat padegi.

बेवफा शायरी

शेरो शायरी इन हिंदी (शेर शायरी)

शायरी shero shayari

Accha lagta hai tera naam mere naam ke saath,
Jaise koi subha judi ho kisi haseen shaam ke saath.

Rishta dil se hona chahiye shabdo se nahi,
Narajgi shabdo me honi chahiye dil me nahi.

Footpath par sone wale hairaan hai,
Aati jaati gadiyo se…
Kambakht jinke ghar hai wo ghar kyo nahi jaate.

Yu hi hum dil saaf rakha karte the,
Pata nahi tha ki keemat chehro ki hoti hai.

Ek na ek din hasil kar hi lunga manjil,
“Thokre” jehar to nahi jo khakar mar jaunga.

Shero o Shayari Collection

Nafrato ke bajaar me jine ka alag hi maja hai,
Log “Rulana” nahi chhodte,
Or jindadil “Hasna” nahi chhodte.

Aaj akela hu to kya hua,
Koi tha mera apna bhi kuch wakt pehle.

Chahne wale to milte hi rahenge tujhe saari umar,
Bas tu kabhi jise bhool naa paye,
Wo chahat yakeenan hamari hogi.

Jara si galatfehmi par naa chhodo
Kisi apne ka daman…
Kyoki jindgi beet jaati hai,
Kisi ko apna banane me.

Parindo ko manjil milegi yakenan,
Ye faile hue unke par bolte hai,
Aksar wo log khamosh rehte hai…
Jamane me jinke hunar bolte hai.

टू लाइन शायरी

Best Hindi Shayari Collection

best sher o shayari in hindi

Aa jao kisi roj tum to tumhari ruh me utar jau,
Saath rahu main tumhare na kisi or ko najar aau,
Chahkar bhi mujhe koi chhu naa sake mujhe koi is tarah…
Tum kaho to yu tumhari baho me bikhar jau.

Badi chalaak hoti hai jindgi hamari,
Roj naya kal dekhkar umar chhinti rehti hai.

Kisi se pyar karo or tajurba kar lo,
Ye rog aisa hai jisme dawa nahi lagti.

Khali palke jhuka lene se neend nahi aati janaab,
Sote wo log hai jinke pass kisi ki yaade nahi hoti.

Tere muskurane ka asar sehat par hota hai,
Log puch lete hai, Dawa ka kya naam hai.

Love Shero o Shayari in Hindi

Hum kal bhi tujhse pyar karte the,
Hum aaj bhi tujhse pyar karte hai,
Bas fark itna sa hai…
Kal hak tha, Aaj hak nahi hai.

Kon kehta hai ki duniya me humsakl nahi hote,
Dekh kitna milta hai tera dil mere dil se.

Tera pyar hi meri jaan hai,
Shayad tu is hakekat se anjaan hai,
Mujhe khud nahi pata main kon hun…
Kyoki tera pyar hi meri pehchaan hai.

Mahobbat ke rishte kitne ajeeb hote hai,
Door kitne bhi ho lekin kitne kareeb hote hai,
Hum mahobbat me lut gaye to kya hua…
Ye to apne apne naseeb hote hai.

Ek jara si bhool khata ban gai,
Meri wafa hi meri saja ban gai,
Dil liya or khel kar tod diya usne…
Hamari jaan gai or unki ada ban gai.

Alone शायरी

Sad Shero Shayari in Hindi

sad shayari in hindi शेरो शायरी

Mahobbat ke baad mahobbat karna to mumkin hai,
Lekin kisi ko tootkar chahna…
Wo jindgi me ek baar hi hota hai.

Mahobbat ka ghana badal bana deta to accha tha,
Mujhe teri aankh ka kajal bana deta to accha tha,
Tujhe pane ki khwahish ab jine nahi deti…
Khuda tu mujhe pagal bana deta to accha tha.

Mujhko merer wajood ki had tak na janiye,
Behad hun… Behisaab hun… Beintiha hun…

Kuch to hisaab karo humse,
Itni wafayein udhaar kon deta hai.

Mahobbat na sahi, Nafrat hi kar le,
Kam se kam hame yaad to kar le.

शेरो-शायरी एवम् पंक्तियाँ

Kisi ki jindgi sirf do wajah se badalti hai,
Ya to koi khas insaan uski jindgi me aaye,
Ya fir koi khas insaan uski jindgi se chala jaye.

Kabil ban na hai to girna to padega dost,
Kyoki mithai khane ka asli maja…
Mirch khane ke baad hi aata hai.

Saath hamara pal bhar hi sahi,
Par ye pal jaisa mukammal koi nahi,
Ho shayad fir milna hamara kahi…
Tu jo nahi to teri yaade sang sahi.

Wo mili bhi to kya mili,
Ban ke bewafa mili,
Itne to mere gunaah naa the…
Jitni mujhe saja mili.

Sapna kabhi sakaar nahi hota,
Mahobbat ka koi akaar nahi hota,
Sabkuch ho jata hai is duniya me…
Magar dobara kisi se saccha pyar nahi hota.

Attitude शायरी

Heart Touching Hindi Shayari

हिंदी शेर शायरी shero shayari

Aadat bana li hai maine khud ko takleef dene ki,
Taki apne jab takleef de, To zyada takleef na ho.

Naa jane kyo tera milkar bichadna yaad aata hai,
Main ro padta hun jab gujra jamana yaad aata hai,
Nahi bhula hun mai ab tak tujhe oo bhoolne wale…
Bata tujhko bhi kya mera fasana yaad aata hai.

Kash mujhe bhi sikha dete tum,
Bhool jane ka hunar,
Mai thak gai hun har lamha har saans tumhe…
Yaad karte karte

Naa ruthna hamse, Hum mar jayenge,
Dil ki duniya tabah kar jayenge,
Mahobbat ki hai humne koi majak nahi…
Dil ki dhadkan tere naam kar jayenge.

Bahut der kardi tumne,
Meri dhadkane mahsoos karne me…
Wo dil nilaam ho gaya,
Jis par kabhi tumhari hukumat thi.

Jadu har uski har ek baat me,
Yaad bahut aati hai din or raat me,
Kal jab dekha tha sapna maine raat me…
Tab bhi uska hi haath tha mere haath me.

दर्द भरी रोमांटिक शायरी

अगर आपको ये शेरो शायरी (Shero Shayari in Hindi) अच्छी लगी हो तो इन Hindi Shayari Sad, Hindi Shayari Dosti को ज्यादा से ज्यादा सोशल मीडिया पर शेयर करे और हमें फेसबुक पर ज़रूर फॉलो करे।

Sneha Shukla

View all posts by Sneha Shukla →

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *